Friday, March 16, 2012

Zamanay se nahi darta




Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum

" Hasnain " Abhi to waqt un ka hai, rula ley chahay jee bhar ke
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

No comments:

Post a Comment