Monday, March 12, 2012

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi



Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

" Hasnain " Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana'a ki deewar bhi nahi

No comments:

Post a Comment