Friday, March 16, 2012

Zamanay se nahi darta




Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum

" Hasnain " Abhi to waqt un ka hai, rula ley chahay jee bhar ke
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

Monday, March 12, 2012

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi



Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

" Hasnain " Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana'a ki deewar bhi nahi

Thursday, March 8, 2012

Loat Aayo.....

Loat Ayo

Loat Aayo.....
Ke zindagi ki raah mai....
Mohabto ki chaah mai....
Ghairo ki panah mai.....
Koi akela hai tujh bin.....

Loat Aayo.....
Ke zakhmo ke ghayo mai....
Sulagti dhoop ke jalayo mai....
Waqt ke bahayo mai......
Koi akela hai tujh bin....


Kisi ki saans lena tak dushwaar ho gya....

Loat aayo.....
Ke kahi saanso ki doar toot na jaye.....
Ke kahi mohabbat hasrat hi ban ke na reh jaye....

Dard dil mai

Mehsoos Hota hai Dard dil mai
Yaad karta hu jab bhi tumhay dil mai

Karnay gya tha tujh se izhaar-e-mohabbat
Reh gayi dil ki baatai kahi dil mai

Bhulana jo chaha har aik ka chehra to
Bas gayi teri soorat kahi dil mai

Chor diya hai mai ne ab har kisi ko
Basaya tha zamanay ko kbhi dil mai

Kabhi zarurat paray to shaid kaam hi aa jaye
Tere ta'anay sambhal rakhay hai dil mai

Kabhi milay fursatay to loat aana tum
Jageh bacha rakhi hai ab bhi dil mai


Na pooch, ye sun ke takleef hi ho gi
Tere ghamo ko chupa rakha hai dil mai

Jo suna hai, kya sach suna ha ?
Bas gaye ho tum kisi ghair ke dil mai

Hasnain zamanay ko kahi khabar hi na ho jaye
Chupaye rakhtay hai har khawahish dil mai
è è è

Hamsafar

Hamsafar


Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Jaha qaid na ho umar ki
Jaha qeemat na ho jazbo ki
Jaha hawas na ho chahat ki
Jaha mukhtaji na ho lafzo ki

Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Jaha koil geet gaati ho
Jaha hawa raqs karti ho
Jaha prem ki nadyia behti ho
Jaha chaman khushya manati ho



Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Tere Lams ki chahat nahi
Tere jism ki bhookh nahi
Tere honto ki lalach nahi
Tere joban ki pyaas nahi

Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Apni chahto ki roshni de
Apni soacho ki timtamahat de
Apni sakoot ka byaan de
Apni dharkano ka qarar de

Mere dil mai chupay huway raaz mangti hai

Mere dil mai chupay huway raaz mangti hai
Wo pagli ! mujh se meri jaan mangti hai

Rakhti hai hasas apni sama'at ko wo
Samandar ki lehro se khamoshi mangti hai

Ajab fariyad karti hai wo Khuda se
Haath utha kar meri mout ki dua mangti hai

Karti hai koshishai ke mil jaye usay kahi se wafa
Kitni nadaan hai sehra se samandar mangti ha

Kehti hai ke ab mitta do apni zindagi se mujhe
Mujh se meri zaat ka ikhtyar mangti hai




Koi to samjha do yaaro ussay yeh hai pagal pan
Raat ki andhairi se jab suboh ka ujaala mangti ha

Hoti hai pehlay khud hi door mujh se
Phir wo judayi ka sabab bhi mangti hai

Mangti hai wo apni saari yaadai wapis
Mujh se meri zindagi ka asasa mangti hai

Rakhti hai giray huway pato ko shajar par
Khaza ke mosam mai bhi khilay gulab mangti hai

Koi to jala de meri zindagi ki shameh
Dunya ab badnaseebi ke raaz mangti hai

Hasnain uss ki masoomiyat kahi ruswa hi na kar de
Dunya ke saamnay hi wo mera haath mangti hai
è è è

Meri aankho mai najanay kya parh raha tha

Meri aankho mai najanay kya parh raha tha
Shayed uss mai apna naam parh raha tha

Yeh daikh kar uss ka wajood bhi kaanp utha
Mujh pe beeti hui jab dastan parh raha tha

Judayi ki aafat bhi ussi waqt hi aayi thi
Jab wo mere haath ki lakeerain parh raha tha

Pal bhar ke liye bhi kya ussay meri yaad nahi aayi
Uss shajar par likha jab apna naam parh raha tha

Shayad yakeen aa hi gya tha mere pyar par ussay
Jab lahoo se likha mera khat parh raha tha

Hasnain mehsoos ho rahi thi ussay apni zaat bhi
Mere seenay ki jab wo dharkan parh raha tha

Zaroori nahi

Zaroori nahi hai kisi talwaar se zair karnay ki

Mere dushman ki haar ke liye meri jeet hi bohat hai

Zamanay walay

Zamanay walay kabhi bhi apnay nahi hotay
Harjayi chehray wafa ka paikar nahi hotay

Jin ke pass hoti hai hai umar bhar ki yaadain
Wo loag tanhayi mai bhi tanha nahi hotay

Na daikh yu kisi ghareeb ko neech nazro se
Koi majboori na ho to haath phailay nahi hotay

Waastay detay hai ab Khuda ke tujhe
Aur hum se jabar sehnay nahi hotay

Shaid aaj mai tere naseeb mai hota
Agar tum mere aansuo par hansay nahi hotay

Bhool jatay hai jo apni muhabbat ko
Aankho mai un ke aansoo nahi hotay

Phootata hai jin ke andar chashma mohabbat ka
Daaman un ke kabhi mailay nahi hotay

Hasnain chahtay hai jo kisi ko sachay dil se
Aik din ke wo kabhi mukhtaaj nahi hotay
(For Valentines Day)