Friday, November 24, 2017

Hamesha Dair Kar Deta Hoon - Munir Niazi Urdu Poetry By Mirza Hasnain




Hamesh'a dair kr deta hon main,har kam krni main, zarori baat kehni ho,koi wada nibahana ho..
hameshah dair kr deta hn..madad krni ho uski,yaar ke daharas bandhna ho,bohat dairena rastøøn per, kisi se milini jana ho,hameshah dair kr deta hn main,badalte maosamoon ke sair main dill ko lagana ho, kisi ko yad rakhna ho,kisi ko bhool jana ho, hameshah dair kr deta hn main..
kisi ko mau't se pehlay kisi gham se bachanaa ho,haqeqat aur thhe kuchh us ko jaa ke ye batanaa ho, hameshah dair kr deta hoön main hr kam main.
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں"
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں' میں ہر کام کرنے میں
ضروری بات کہنی ہو ٬ کوئی وعدہ نبھانا ہو
اسے آواز دینی ہو، اسے واپس بلانا ہو
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں'
مدد کرنی ہو اسکی، یار کی ڈھارس بندھانا ہو
بہت دیرینہ رستوں پر کسی سے ملنے جانا ہو
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں'
بدلتے موسموں کی سیر میں کو دل لگانا ہو
کسی کو یاد رکھنا ہو، کسی کو بھول جانا ہو
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں'
کسی کو موت سے پہلے کسی غم سے بچانا ہو
حقیقت اور تھی کچھ اس کو جاکے یہ بتانے ہو
بہت دیر کر دیتا ہوں'
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں'میں ہر کام کرنے میں

Monday, November 18, 2013

Bharosa ab Khuda ki zaat par rakhna


My New Ghazal :

Bharosa ab Khuda ki zaat par rakhna, Ussay Kehna
Aziyat ka yeh pal bhi beet jaye ga, Ussay Kehna

Mere Qaasid, tu jaa kar bas Tasalli us ko yeh dena
Hamesha waqt ik jaisa nahi rehta, Ussay Kehna

Tamanayo ki daldal mai, Kahi phans kar na reh jana
Ke chaadar daikh kar Paayu ko phailaana, Ussay Kehna

Ussay Kehna, Tu sooraj ki tamaazat se naa ghabrana
Kisi din mil hi jaye ga kahi saaya, Ussay Kehna

Bharosa jin pe hota hai, woh aankhain phair letay hai "Hasnain"
Nahi koi buray haalaat mai apna, Ussay Kehna

Friday, November 2, 2012

Friday, March 16, 2012

Zamanay se nahi darta




Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum

" Hasnain " Abhi to waqt un ka hai, rula ley chahay jee bhar ke
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

Monday, March 12, 2012

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi



Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

" Hasnain " Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana'a ki deewar bhi nahi

Thursday, March 8, 2012

Loat Aayo.....

Loat Ayo

Loat Aayo.....
Ke zindagi ki raah mai....
Mohabto ki chaah mai....
Ghairo ki panah mai.....
Koi akela hai tujh bin.....

Loat Aayo.....
Ke zakhmo ke ghayo mai....
Sulagti dhoop ke jalayo mai....
Waqt ke bahayo mai......
Koi akela hai tujh bin....


Kisi ki saans lena tak dushwaar ho gya....

Loat aayo.....
Ke kahi saanso ki doar toot na jaye.....
Ke kahi mohabbat hasrat hi ban ke na reh jaye....

Dard dil mai

Mehsoos Hota hai Dard dil mai
Yaad karta hu jab bhi tumhay dil mai

Karnay gya tha tujh se izhaar-e-mohabbat
Reh gayi dil ki baatai kahi dil mai

Bhulana jo chaha har aik ka chehra to
Bas gayi teri soorat kahi dil mai

Chor diya hai mai ne ab har kisi ko
Basaya tha zamanay ko kbhi dil mai

Kabhi zarurat paray to shaid kaam hi aa jaye
Tere ta'anay sambhal rakhay hai dil mai

Kabhi milay fursatay to loat aana tum
Jageh bacha rakhi hai ab bhi dil mai


Na pooch, ye sun ke takleef hi ho gi
Tere ghamo ko chupa rakha hai dil mai

Jo suna hai, kya sach suna ha ?
Bas gaye ho tum kisi ghair ke dil mai

Hasnain zamanay ko kahi khabar hi na ho jaye
Chupaye rakhtay hai har khawahish dil mai
è è è

Hamsafar

Hamsafar


Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Jaha qaid na ho umar ki
Jaha qeemat na ho jazbo ki
Jaha hawas na ho chahat ki
Jaha mukhtaji na ho lafzo ki

Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Jaha koil geet gaati ho
Jaha hawa raqs karti ho
Jaha prem ki nadyia behti ho
Jaha chaman khushya manati ho



Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Tere Lams ki chahat nahi
Tere jism ki bhookh nahi
Tere honto ki lalach nahi
Tere joban ki pyaas nahi

Hamsafar le chal waha, jaha tere siwa kuch na ho
Apni chahto ki roshni de
Apni soacho ki timtamahat de
Apni sakoot ka byaan de
Apni dharkano ka qarar de