Friday, September 24, 2010

Mera Tum Se Waasta


Mai ne poocha apnay dil se keh tumhara mujh se kya Waasta hai.....
Shaid mera Waasta bhi kuch aisa hai jaisa tumhari Muskaan se meri Khushi ka Waasta hai......
Ya Jaisay Tumhari har Saans se meri Dharkan ka Waasta hai.....
Ya Jaisay Tumharay har Aansoo se mere gham ka Waasta hai.....
Ya Jaisay tumhari Rooh ka meri zindagi se Waasta hai.....
Ya Jaisay meri Duaa ka tumhari Khushyo se Waasta hai.....

"" Shaid Kuch Aisa Hi Waasta Hai Tumhara Mere Saath "".......

Ya Phir Iss tarha ke jaisay........
Tumharay Jism ka Waasta tumhari Rooh se........
Ya jaisay tumharay Aansyo ka Waasta tumharay Gaalo se......
Ya jaisay tumhari khushboo ka Waasta tumharay Lams se...........
Ya jaisay Tumharay Noor ka Waasta Tumhari aankho se......
Ya jaisay tumharay Lahoo ka Waasta tumharai Ragoo se......
Ya jaisay tumharay Aanchal ka Waasta tumhari saadgi se.........

""""""""Shaid Kuch Waasta Hai Mera tumharay Saath""""


M I Right??????

Tum Kaha Ho??


Tum Kaha Ho...... Mai janta hu ke tum mere pass nahi..... lakin phir bhi tumharay honay ka ehsaas sa hota hai mujhe..... Najanay kyu lagta hai ke Tum aaj bhi yehi ho.... Najanay kyu tumhari Masoom Soorat aaj bhi in aankho ke wajood mai chayi hai.....Najanay kyu tumhari shoukh si muskarahat aaj bhi in kaano mai Raqs karti hui goonjati hai.....

Najanay kyu tumhara Wajood aaj bhi tumharay kahin honay ka ehsaas dillata ha......Najanay kyu tumhari Saadgi (Jo Mujhe Apni Zindagi Se Bhi Ziada Azeez Hai) shaid aaj bhi mere andar mere lams ki manand mehsoos ho rahi hai.....Najanay Aaj bhi lagta hai ke tumhari Khooshboo iss Hanwa mai Dhamak rahi hai...... Tu nahi hai mere pass mai janta hu...... Lakin aaj bhi kabhi tumharay na honay ka ehsaas huwa hi nahi......Janta hu ke tu nahi lakin phir bhi kyu har guzarta huwa lamha tumharay honay ka ehsas dilata hai......Kyu???????????

Tum Koun Ho Meri??


Tum Koun Ho..... Tum se kya rishta ha......Tum meri aakhir lagti kya ho.......Tumhay har waqt soachta hi kyu rehta hu.....Tumhay kyu khawabo mai daikhnay ka armaan hadh se guzar jata ha.....Tumhay kyu har waqt paanay ki chahat har waqt mere andar baidaar rehti hai..... Tum aakhir ho koun?????

Yeh kaisa rishta ha jo har waqt mujhe tum se milnay ko kehta hai.......Aakhir iss rishtay mai aisi kya baat hai........Jo dunya ke kisi bi rishtay mai nahi.......Aakhir ye kaisa rishta hai ke jiss ke yaad aanay se dunya ki tamaam cheezain Be-Maani ci lagnay lagti hai......Ke jiss ke yaad aanay se apni zaat bhi adhuri ci lagnay lagtay hai.......Aakhir kya baat hai iss rishtay mai.......Aur yeh rishta hai Koun Sa...........???????

Mai to aaj tak jaan paaya.....Lakin agar aaj tak nahi jaan paaya to phir kis din Jaan paayu ga.........Ya phir kabhi jaan paayu ga bhi ya nahi???????....
Aakhir Tum Ho Koun....?????.........Aur yu dil mai kyu utar gayi ???????...... Kyu iss tarha meri Rag Rag mai samaa gayi ?????............ Meri zaat ka aik hiss ban kar reh gayi ho tum????........Meri Dharkan mai samaa gayi ho????????

Aakhir Kyu????????????????

My New Poem-Tere Naam Ka


Jab Joban (Jawani) tera dhal jaye
Jab pyaar ki umar nikal jaye
Jab chorr de tujh ko husn tera
Jab chehra pur ho jhurryo se
Jab rangat na ho gaalo par
Jab zulf ke khaam na baaqi ho
Jab chandi utray baalo mai
Jab aankh ki masti toot chukay
Jab hont apni surkhi chorr jaye
Jab chorr de tujh ko sab saathi
Jab koi na tujh ko apnaye

Tabb............................

Mere pass chalay aana
Basti ki sooni galyo mai
Ik baitha ho ga Deewana
Jo tujh ko soona kar de ga

Tere joban ko wo kya janay
Tere jism se uss ka kya rishta
Jissay kehtay ho tum " Harjayi "
Hai " Tere Naam Ka Wo Shaidayi "

If U Like My Poem Than PLz Write Sum Thing..............


Thursday, September 23, 2010

My New Ghazal- Aaj Bhi


Aaj bhi Subah ka aaghaz tere bakhshay huway ghamo se karta hu
Aaj bhi mai un beetay huway lamho ko sochta hu
Aaj bhi mai uss kahani mai chupa apna muqadar sochta hu
Aaj bhi mai tujhe soachtay soachtay thak sa jata hu
Aaj bhi mai hijr ki raato mai tujhe paanay ki duaaye mangta hu
Aaj bhi mai raastay mai kahin door chaltay chaltay teri soach mai dooba rehta hu
Aaj bhi mai par likhay naamo ki tarha teri chahat mai samo sa jata hu
Aaj bhi mai tere aik aansoo ki tarha be-ghar sa hi rehta hu
Aaj bhi mai mohabbat ka bharam tootnay ke dar se ghabra sa jata hu
Aaj bhi mai........Mai nahi badla
Loat aayo ke kahi in aankho ki saqat khatam na ho jaye.........

My New Poem- Barish


Ussay Kehna........
Ke ye barish ki boondain.....ye taiz hanwa ka jhonka......
Mujhe tere honay ka ehsas dilata hai.....
Ye Khushgawar mosam....Ye Tharthartti hui bijlya....
Ye dil ko larbharati huye baarish ke aansoo.....Ye Shoakh ci chalchal ci hanwaye.....
Ye betaab karti hui barish ki khamosh dharkan......
Ye pagal sa karta huwa barish ka lams......
Ye Barish mai lipti hui teri yaado ki khushbu....
Ye barish ke qatro mai chupa huwa tera chehra....
Ye barish ke pani mai dhakay huwe mere Aansoo....
Tere Honay ka ehsaas dilatay hai......

Sunday, September 19, 2010

My Designed Poetry- Aansoo





If U Like This Than Plz Write Sum Thing........

My Ex College- F College Jhelum

My New Poem- Ab To Loat Aayo



""Ab To Loat Aayo""






Loat aayo......................

Ke zindagi ki Raah mai...
Mohabbaton ki Chaah mai....
Afsaano ki panah mai
Zakhmo ke Ghaayo mai
Dhoop ke Jalayo mai
Phoolo ke Katayo mai......
Zindagi ki Chaah mai

Koi akela hai Tujh Bin..............

Loat Aayo......................

Ke kahin Ikhtetam-e-Zindagi na ho jaye
Ke kahin Aarz-e-Mohabbat hi na reh jaye.....

Loat Aayo...........

Ab To Loat Aayo.................




If U like my poem than plz write sum thing............

My New Ghazal- Tere Shehar Se


Guzarta hu main jab bhi tere shehar ki galyo se
To beeti sadaye raqs karti hai tere aashyanay se

Karta hu mai yaad tujhe jab bhi..............
To aik halchal si machalti hai mere seenay main

Poochtay hai loag mujh se meri Be-Basi ka sabab
Kehta hu ke aik pathar par ja maray thay kabhi

Rehta hai ik bacha sa mere wajood mai ""Hasnain""
Jo mangta hai khilonay bhi sirf teri yaado ke.......



If u Like My Ghazal than write some thing..............